Yehh Baarish…πŸŒ§β€οΈβ€πŸ©Ή

Iss saal Phirse baarish aayi,
Par mere liye bas aansuon ki baarish aayi,
Iss baarish main meri Mohbaat tumhare liye badh rahi thi ,
Par pata nahi kyu woh Mohbaat mere liye kahi na kahi kam ho rahi thi.

Iss bar tum dur jaa rhe the,
Jese iss baar ye baarish tumhe mujhse dur karne aayi thi,
Baarish ne sabko to bhiga diya ,
Magar mujhe aansuon ne bhiga diya.

Ye baarish mere liye to sirf dukh aur aansu leke aayi thi,
Iss baar baarish ke bundon se jyada mere aansu barse the,
Kash ye baarish tere shahar bhi ho,
Taki tujhe pta chale kitna taras rahi hu tere liye.

Ye baarish ki bunde teri yaad dilayegi,
Ye baarish to kal phir aayegi,
Ho sake to tum bhi loot aanaβ€¦β€οΈβ€πŸ©Ή

Β© Apeksha khedkar

Published by Apeksha R.K

I am a Co-Author, Poet, Writer, Book Compiler, And performer. From India!

Leave a comment

Design a site like this with WordPress.com
Get started